Sunday, November 21, 2010

Dard-e-Dil SMS Shayari Collection

Agar rakh sako to ek NISHANI hu mai,
Aur kho do to ek KAHANI hu mai,
ROK paya na jise ye JAHAN sara ,
Woh ek BOOND aankh ka PAANI hu mai



Neendain meri aankhon say churaata hai wohi shakhs
So jaon toh khuwabon mai bhi aata hai wohi shakhs
Her zakhm ka khaaliq bhi koi aur nahi hai
Her zakhm pay marham bhi lagaata hai wohi shakhs


Mil ne ki khushi na bichad ne ka gham,
na tanha na udaas hai hum,
kaise kahen kaise hai hum,
bas yun samajhlo,
aapki dosti ke bina akele hai hum....


Kya batau kisiko kya dard hai seene mein
maut aajaye gham nahin....ab kya rakha hai jeene mein
gham sharaab se agar pal do pal ke liye rukhsat hojaaye toh
ae dost kya harz hai phir peene mein



Mushkil hai ab in labo ka kabhi muskura paana,
Mushkil hai ab is dil ka kisi ke liye dhadak paana,
Chalakte hai sirf aansu in aakhon se ab to,
Mushkil hai inme kisi ke liye sapne sajaana.


Mujhe dard e ishq ka mazaa malom hai
Dard e dil ki inteha malom hai
Zindagi bhar muskurane ki dua naa dena
Mujhe pal bahar muskurane ki sazaa malom hai


Bewafaayi ka dard kaisa hota hai koi humse puche
tanha raaton mein rona kaisa hota hai koi humse puche
takleef mein jeene ki aadat si hogayi ab ae dost
jab apna koi dhagga kare toh kaisa lagta hai....
Koi Humse Puche



Hadse banke log yahaan mila karte hai
zakhm dene ke hi saaman diya karte hai
roz gir jaati hai deewar tere wadon ki
roz hi hum maut ke saaye mien jiya karte hai..


Sapne saare tod kar beithe hai
dil ka armaan chod kar beithe hai
na kijiye humse wafa ki baatein
abhi-abhi dil ke tukde jod kar beithe hai


Kya faaida hua hai ab intezaar karke
Gardish mein aagaye hai..Hum tumse pyar karke
Iss daur mein Wafa ka..Hum karobaar karke
Sunnat nibha rahe hai..Dushman se pyar karke


Rokk nahin paate yeh aansoo chalo aaj ji bhar ke behne do
mein thi kabki tanha ae dost mujhe tanha hi rehne do
unse wafa karke yeh inaam paaya humne
vo agar kahe mujhe bewafa toh usse kehne do


Tumse rishta tod bhi nahin sakte aur jod bhi nahin sakte
tu Bewafa hai ueh soch ke tumse muh mod bhi nahin sakte
beshaq tu kisi aur ke haathon ki lakeeron mein hi sahi
yeh soch ke hum tumse milne ki aas chod bhi nahin sakte


Har raahi ko mann chaha mukaam nahi milta,
Jisko jee bhar pyaar kar sake wo insaan nahi milta,
Aasma k sitaro ki tarah hamare armaan bhi bikhrte rehte hai,
Jo apne dil mein hamein jagah de sake
Wo meharbaan nahi milta


Khushnaseeb hai hum jisse aap jaisa yaar mila
Pathron ke jahan mein sacha pyar mila
Jeeye tumhe dekh dekh,
Marre teri baahon meinyeh aarzu hai meri
Do pal ka tha sab ae dost....
Sadiyon se lamba hamein intezaar mila


Ae Khuda meri mohabbat mere havaale karde
Tadap rahi hu uske bina yeh judaai kam karde
Reham kar iss chote se dil pe ya Khudaaya
Uski mohabbat mere naseeb mein karde


Nafratein bhi uss se ,mohabbatein bhi uss se
Yeh dil ke maamle bhi hua karte hai ajeeb
Na toot kar jurre, na jud kar kabhi toote
Yeh qurbaton ke faasle bhi hua karte hai ajeeb



Teri har adaa mohabbat si lagti hai
Ek pal ki judaai muddat si lagti hai
Aisa pehle nahin tha jo ab lagta hai
Ke zindagi ke har lamhe mein teri zarurat si lagti hai



Yun door rehkar dooriyon ko badhaaya nahin karte
Apne deewaano ko sataaya nahinkarte
Har waqt bas jisse tumhaara khayaal ho
Usse apni aawaaz ke liye tadpaaya nahin karte


Milke bichadna dastoor hai zandagi ka,
Ek yahi kissa mashhoor hai zandagi ka,
Beete huye pal kabhi laut kar nahi aate,
Yahi sabse bada kasoor hai zandagi ka


Ilzaam unper koi aane na denge.....
Bewafa bankar unhe jaane na denge......
Khud hi seh lenge sare dard.....
per unhe kabhi sir jhukane na denge.....



Zindagi se jo tum ja chuke ho...
har taraf se hum barbaad ho gaye...
Muskuraate hain khud ki maut par...
ansoo chipaane mein ustaad ho gaye.



Hunar nahi aata hamain dilon se khelne ka...
isiliye ishq ki baazi hum haar gaye...
Shayad unhen tha meri zindegi se bahut pyar...
isiliye mujhe jeete jee hi maar gaye.



Toot padti hai nayi roz khabar shaam ke baad...
waqt hota hai azabon mein basar shaam ke baad...
Meri aankhon se baraste hue daryaon me...
doob jati hai teri raah-e-guzar shaam ke baad.



Aisi bewafayi ki usne ke...
Mohobbat bhi badnaam hogayi...
Apne chahton ki keemat itni vasool...
ke hamari kabr tak bhi neelaam hogayi..


Lut gaye tere ishq main
Dil se jaane waale ko kaho ke aaj is tarah jaaye...
Har Dil ko lage chot aur har aankh bhar aaye...
Lut gaye hum teri mohobbat main

No comments:

Post a Comment

 
Design by emfaruq. All Rights Reserved.